नीरज भाटिया की चुनौती स्वीकार |

M

Mahender Pal Arya

Guest
|| नीरज भाटिया की चुनौती स्वीकार ||

धर्म प्रेमी भाइयों इन्हों ने कहा ईश्वर अवतार लेता है, इनकी चोनौती को स्वीकारते हुए मैंने जो ज़वाब लिखा है उसे पढ़ें नीचे ||

Neeraj bhatia


Mere Prashan aur Tark –
1. Arya Samaj wale Kehte hain ki Bhagwan Kabhi Avtar nahi lete kyunki wo Ajnama aur Nirakar hain. Mera unse ye prashan h ki Parmatma ki tarah hi Atma bhi ajanma aur nirakar hai , jab Atma Shareer dharan karti hai to Pramatma kyun nahi kar skte ?

  1. Jab Parmatma sab atmaon ko Shareer de skte hain to khud kyun nahi shareer dharan kar skte? Kya wo aisa karne me smarth nahi hain ? Agar Aisa h to Aap unhe Sarvshaktimaan Kaise bolte hain ?
  2. Aur Ishwar shareer dharan karne me smarth hain par wo aisa karna nahi chahte , to kyun nahi karna chahte, Kya karan hai?? Arya samaj wale itne aatmvishwas bolte hain ki Bhagwan Shareer dharan nahi karte Jaise ki Bhagwan ne unko swayam bataya ho..Bhagwat Geeta me Bhagwan Krishan ne saaf bola h Ki jab Jab dharam ki hani hoti hai aur adharam badta h to wo Avtar lete hain “Yada Yada Hrisdharmasy…” is shalok me.
  3. Aur agar Vedon ki hi baat Karen to Vedon ka to abhi tak shudh smpuran anuwaad kiya hi nahi gya h, Vedon se Nikle ek Aitrey Bharman Granth ka vaigyanik anuwad karne me Acharya Agnivart Naishtik ji ko itna lamba smya laga..To Iska matlab Vedon ka 10 % bhi gyaan bhi nahi hai kisi ko..Jab Vedon ka itna bhi gyan nahi h hame to hum Vedon k alap gyaan ko adhar maan k kuch kaise bol skte hain..?? Bhagwat Geeta me Bhagwan Krishan ne khud ko Ishwar batate hue kaha hai ki wo Yug Yug me Avtar lete hain, par aap log Bhagwat Geeta ko ye kehte hue nahi maanenge ki Usme Milawat hai. To hume Shastron k adhar pe kuch nishkarsh pe phnchna sambhav nahi. Isliye aap mere pehle 3 Prashano ka ki jawab den jo ki mukhyat tark pe adharit hain, Shashtaron pe nahi. Aur agar aap jawab nahi de skte to ye maane ki Arya Samaj walon ka ye purvagrh sirf is vjh se hai kyunki unke Guru Rishi Dayanand ji ne aisa kaha tha ki Bhagwan Avtar nahi lete..Nahi to unke pass iska koi tark nahi hai.

Mahendrapal Arya ji k is video me diye hue ku-tarkon k jawab – 1. Apne Ram Shabd ka Shabd roop bata k ye dikhane ki koshish ki ki ye to kisi manushy k liye naam ho skta h Parmatma ka nahi.. Mera Jawab – Manyta ye hai ki Bhagwan Ram Parmatma k Manushy roop me avtar the to unke liye wohi sab naam ya Vyakaran paryog hogi jo smanay jeevan me manushyon k liye hoti hai.

  1. Apne kaha ki Parmatma to sabke pita hote hain, Yadi Bhagwan Ram parmatma hai to kya wo Mata Sita k Pita hue Mera Jawab – Parmatma nissandeh sab atmaon k pita Mata, bhai aur Pati sab kuch hai , ham jo rishta mane wo rishta hota h, ye rishta aatmik hai..Bhagwan Ram manushy roop me the to unke wo sab rishte the logon se jo kisi sadharan manushy k hote hain jaise Bhai, Beta, Pati, … To manushyon k shareerik k rishton ko aap Parmatma k aatmon se rishte se kaise compare kar skte hain..Ab aise dekhen to Paramatma apke bhi Pita hain aur aapki Patni k bhi pita hain..To kya apki patni aapki behan hui is hisab se ??? To aapke diye hue ye sab tark, kutarkon ki shreni me aate hain..Apne puri video me Kutrak diye hain aur gali galoch kiya hai par ek bhi praman nahi diya ki Parmatma kyun Avtar nahi lete..Agar apko itna hi abhimaan hai apne gyaan pe to mere likhe pehle teen tathyon ko counter kijiye..?? Main manta hu ki Ponga panditon ne Dharam ka naash kiya hai par sath me un adhure ahankari gyanion ne bhi kiya hai jo apne adhure gyaan k ahankaar pe gyaan arjan to karte nahi par dooron ka khandan zarur karte hain..



Mere pehle 3 tathyon ka agar jawab nahi de paye to main smjh jaunga ki aapke pass koi tark nahi hai ye sabit karne ka ki Ishwar Avtar nahi lete…

Kripya Uttar dijiye

Pandit mahender pal arya



इसी विषय पर डिबेट करना हो तो स्वागत है डिबेट के कुछ शर्तें होती है उसे पूरा करने होंगे । जैसा यह विषय आ गया ,, ईश्वर का अवतार होता है या नहीं, ईश्वर को अवतार लेना पड़ता है क्या,,

निर्णायक मंडल की चयन जिस में दोनो तरफ से होंगे । जिस ग्रंथ को आप नहीं। मानते उसका प्रमाण मैं नहीं दूंगा, और जिसे मैं नहीं मानता उसके प्रमाण आप को देना नही है।

यह सभी स्टैंपपेपर में लिखा पढ़ी होगी जो जीते उसकी बात सबको मान्य होगा। कोई भी जीते यह डिबेट आर्यसमाज सूरजपुर ग्रेटर नोएडा में होना है अब आप तारीखें देखकर स्पष्टि करण दें । यह सवाल उन्हों ने मुझे मेल किया था जिसका ज़वाब लिखा उनकी चुनौती स्वीकार किया और जगह भी लिख दिया जो शर्तें हैं वह भी लिखा है |

धन्यवाद के साथ महेद्र पाल आर्य।

Continue reading...
 
Top